dunya usay kehti hai alamdar alamdar
pyason ka alamdar hai pyason ka alamdar
shabbir ke lashkar ka alamdar alamdar
emaan ke liye marne ko tayyar alamdar
nusrat ke liye bar sar e paikaar alamdar
mashkeeze may pani ka talabgaar alamdar
aur haathon ke kat jaane se nachaar alamdar
dunya usay kehti hai...
wehdat ki tajalli se nazar jodne waala
dunya ke har ek aysh se moo modne waala
khyber ki tarha fauj ki hadh todne waala
hai maut ka maidan may khareedaar alamdar
dunya usay kehti hai...
ye khoon ke bauchaar may ummat ka safina
tadpati hai maidan may jab yaade sakina
naize pe ye ja padta hai taane huwe seena
sun leta hai talwaron ki jhankaar alamdar
dunya usay kehti hai...
talwaar si baatil ki girha kholne waala
haq baat haqeeqat ke liye bolne waala
nazron may hayate abadi tolne waala
har lehja shahadat ka talabgaar alamdar
dunya usay kehti hai...
milne ka na umeed hai jeena ka na yaara
kya jaaniye kis tarha se dhoonda hai sahara
sunte hai sakina ne kayi baar pukara
mumkin hua kismat se na deedar alamdar
dunya usay kehti hai...
mashkeeze se har baar wo girta hua pani
raftaar se takrati hai nafson ki rawani
chehre se nikharti hui baba ki jawani
abbas hai ya hyder e karraar alamdar
dunya usay kehti hai...
talwaar sambhali kabhi mashkeeza uthaya
darya pe bhi pani ke liye khoon ko bahaya
saa'il wo kya cheez ye kaunain pe chaaya
chalta hi raha azm ki raftaar alamdar
dunya usay kehti hai...
wo sookhi zaban ubhre huwe pyas ke chaale
behta hai lahoo jism ke har zakhm hai aale
jab haath nahi hai to alam kaise sambhale
bhai ko sada deta hai har baar alamdar
dunya usay kehti hai...
maidan may jam jaana bahadur ka ye khoon hai
khoon chehre pe mal lena shaheedon ka wazoo hai
hai gurz gira sar pe to aankhon may lahoo hai
ho jata hai yun bhi kabhi nachaar alamdar
dunya usay kehti hai...
islam ke jaade hai to emaan ki raahe
hai rob o jalaal itna ke tham jati hai aahein
jhuk jaati hai ay fazl malayak ki nigahein
nazron se bahot ooncha hai darbar alamdar
dunya usay kehti hai...