madad hussain ki karne habeeb aaye hai
qadam qadam pe wafa ke naqoosh paaye hai
badal raha hai zamana ka jasba e nusrat
zaeef hoke jawani ko saath laaye hai
madad hussain ki karne...
ye sin ye saal ye azme wafa mubarak ho
galay lagaane tumhe khud imam aaye hai
madad hussain ki karne...
lab e hussain ki jumbish may hai nigaah sab kuch
payaam sun ke shahadat ka muskuraye hai
madad hussain ki karne...
tumhe nabi ki nawasi salaam karti hai
habeeb martaba dekho to kaise paaye hai
madad hussain ki karne...
wo ho habeeb ke muslim zohair ho ke hilaal
qasam hai un ke kaleje pe teer khaaye hai
madad hussain ki karne...
wo ho rasool nabi ya payambarane salaf
hussain ki tarha as'haab kisne paaye hai
madad hussain ki karne...
qaza bhi fazl shahadat ke waqt kehti hai
habeeb dekho sarhane hussain aaye hai
madad hussain ki karne...