utho hussain tumse bahan milne aayi hai
mayyat nahi to qabr galay se lagayi hai
utho hussain tumse bahan...
ek bekasi fizaye haqeeqat mein chayi hai
jangal pasand aagaya basti basayi hai
khusboo lahoo ki khaak ke zarro mein paayi hai
phir karbala se qaid mein taqdeer laayi hai
mayyat nahi to qabr galay se lagayi hai
utho hussain tumse bahan...
dooba hua lahoo mein hai maghrib ka aaftab
har zarra karbala ka hai dunya e inquilaab
laila ka chand aur wo zulfon mein paych o taab
seene mein zakhm legaya ujda hua shabab
qaatil ne dil ko dekh ke barchi lagayi hai
utho hussain tumse bahan...
ujdi hui zameen hai to be-noor aasman
kab qatm dekho hota hai zainab ka imtehan
sunte hai khul gayi thi muqaddar se reesma
baazu mein aur galay mein hai ubhre huwe nishan
kya jaane kitni qaid mein takleef uthaayi hai
utho hussain tumse bahan...
jo dil ko taaza karta hai ban bhi nahi mila
sookhe huwe gulon ko chaman bhi nahi mila
shikwa nahi koi jo watan bhi nahi mila
chadar nahi mili to kafan bhi nahi mila
bete ne aake qaid se turbat banayi hai
utho hussain tumse bahan...
mushkil bahot thi raah magar kaam kar gaye
maa dekhti thi godh ke paale kidhar gaye
ek daagh dil mein chod diya aur guzar gaye
jhoola bhi khatm hogaya asghar bhi mar gaye
bache ki qabr maa ne galay se lagayi hai
utho hussain tumse bahan...
jo lab pe aah thi wo dile zaar tak gayi
gham ki umang aansuon ke dhaar tak gayi
balon ko moo se dhaamp ke bazaar tak gayi
kya kar kahoo yazeed ke darbar tak gayi
gardish na jaane kaise muqaddar ne khaayi hai
utho hussain tumse bahan...
ujde huwe qayam ka baakhi nahi nashaan
hidday tasavvuraat se bhi khogaye makaan
asghar hai ab na pyas se sookhi hui zaban
nanhi lehad ko dhoondti phirti hai ran mein maa
jo bach gaye hai ashk wo turbat pe laayi hai
utho hussain tumse bahan...
mashkeeza apne saath fidaayi liye huwe
dil mein behan ki yaad ko bhai liye huwe
khabze mein apne saath khudaai liye huwe
abbas so rahe hai taraayi liye huwe
haibat ali ke sher ki darya pe chaayi hai
utho hussain tumse bahan...
jis dil ko keh liye wo bahattar ki qabr hai
qasim ki qabr hai kahin asghar ki qabr hai
bhai se paainti dile muztar ki qabr hai
laila se koi kehde ye akbar ki qabr hai
mitti mein kisne chand si surat chupayi hai
utho hussain tumse bahan...