Zainab Gareeb Karti Hai Chelum Hussain Ka
Karbobala Me Hota Hai Matam Hussain Ka
Haye Zainab Hussain Haye Zainab Hussain
Zainab Jo Bain Karte Thi Qabr-e-Hussain Par
Poucho Na Dil Ka Kya Huwa Alam Hussain Ka
Kubra Gareeb Bhaiti Hai Qasim Ki Qabr Par
Ibne Hassan Ka Gham Bhi Hai Matam Hussain Ka
Mitti Saraou Pe Dalkar Saidaniya Tamaam
Lele Ke Naam Roti Hai Har Dam Hussain Ka
Zainab Ki Tamaana Hai Ye Zehra Ki Arzoo
Baqhi Rahega Hasr Tak Ye Gham Hussain Ka
Ghazi Kata Ke Haatho Ko Ouncha Kiya Isse
Dunya Jhuka Sakegi Na Parcham Hussain Ka
Turbat Ke Gird Karte Hai Ahle Haram Fuqan
Razvi Mazhar Bhi Karte Hai Matam Hussain Ka