Kanz e Aza

Zainab ne Kiye Bain

A noha for Arbayeen, written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ne kiye bain ye marqad se lipat kar

utho mere bhaiya utho mere bhaiya


hum aaye hai bazaron mein darbaron mein hokar

utho mere bhaiya utho mere bhaiya


kardije bahal meri khata itni thi majboor

mai bekas o ranjoor

gum hogayi zindan mein amanat teri dukhtar

utho mere bhaiya utho mere bhaiya


sharminda hoo ye daagh jigar par hai numeinan

ay sayyede zeeshan

purse ke liye aayi hoo bhaiya mai lehad par

utho mere bhaiya utho mere bhaiya


kis ja pe hai turbat ali asghar ki bata do

awaaz suna do

ho koi to surat ke jo tehre dil e madar

utho mere bhaiya utho mere bhaiya


wo mera wafadar wo jaraar wo ghamkhar

ham sab ka nigehdaar

kis ja hai batao mera abbas-e-dilawar

utho mere bhaiya utho mere bhaiya


abbas ko batladun sakina ne khaza ki

pyasi hi sidhaari

tum saath chalo mujhse na samhlega ye sun kar

utho mere bhaiya utho mere bhaiya


kuch pooch to lo haal e safar kya hui bedaad

batlayega sajjad

baitha hai jhukaye hue sar paas hi dilbar

utho mere bhaiya utho mere bhaiya


kuch boliye mai unko nahi poochungi bhaiya

wo dono thay fidiya

thay aun o mohamad ali akbar se na bad kar

utho mere bhaiya utho mere bhaiya


koi na anees aur na humdam na sahara

faryaad khudara

hai waqte madad kijiye halaat ko behtar

utho mere bhaiya utho mere bhaiya