kal tha bhara ghar aur qaime
aaj waha hai sannaate
yaad aaye abbase jari
tadpi royi binte ali
dhoop me laasha akbar ka
peet rahi thi sar laila
rehgayi hu mai tanha
dilbare farwa ibne hassan
jiska hua pamaal badan
ghurbate kubra wawaila
shashmaha pyasa asghar
nanha gala teer aur qanjar
maa ki nazar qali jhula
god ke pale kal the jahan
ab hai wahan qabrou ke nashan
har maa karti hai nouha
bachou ka gham bhul gayi
bhai ke gham me binte ali
karti thi paiham aaho buka
karti thi zainab roke ye bain
utho mere maa jaaye hussain
ab lo sakina ka pursa
dhoom se hpga ye matam
waaqif hai is baat se ham
armaan hai ye zainab ka
gham qaaro matamdaaro
yu hi matam karte raho
zainab dengi tum ko dua