akbar bhi gaye chord diye mujhko akele
kya kya na sitam hai mere is dil ne hai jhele
loote hai sitamgar meri barso ki kamaai
bacho ka tadapna mujhe dekha nahi jaata
hai aas me baithe hai lie haath me kaasa
ab lutf nahi qaimo me veeraani si chaai
bewo ki ridaao ka bhi ab qouf hai mujhko
tooti hai kamar sheh ki ab kho diya tujhko
ab daaghe rasan dekhegi zainab ki kalaai
bhai mere bhai ki sada goonj rahi hai
mayoos zaeefi me khade ibne ali hai
ab haalate shabbir pe roti hai qudaai