Kanz e Aza

Abbas o sakina Ki Hai Ataa Yeh Mashk o alam

A noha recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

Abbas-o-sakina Ki Hai Ataa Yeh Mashk-o-alam

honge Bhi Nahi Ta'hashr Juda Yeh Mashk-o-alam

1. Yeh Fouj Khuda Ki Shaan Hai

yeh Pyasoun Ki Pehchaan Hai

yeh Sabr-o-wafa Ji Jaan Hai

hai Rounaq-e-bazm-e-aza, Yeh Mashk-o-alam


2. Hain Shahid Zulm-o-jor-o-jafa

yeh Jabr-o-tashadduud Par Hain Gawah

har Dard-o-alam-o-gham Ko Saha

bas Sabr Kiya Kiya Shukr Adaa Yeh Mashk-o-alam.


3. Dariya Ke Kanare Yeh Zulm Huva

zalim Ne Diya Khaimou'n Ko Hata

bhai Ne Bhai Ko Dekha

paani Ke Awaz Liye Pyaas Utha Yeh Mashk-o-alam


4. Har Roz Izaafa Pyaas Huvi

nazren Jo Mashiyyat Par Thi Jami

thi Shukr Ki Khushk Labou'n Pe Tari

bane Shukr-e-mujassam Sar Ta Paa Yeh Mashk-o- Alam


5. Do Baazu Kate Lab-e-dariya

ek Teer Mashkeez-e- Pe Laga

bas Qalb-e-baali Sakina Chida

har Haal Me Hai Raazi Ba Raza Yeh Mashk-o-alam


6. Akbar Ke Mo'attar Woh Gesu

qasim Ke Sehre Ki Qushbu

har Aankh Se Nikle Banke Lahu

hain Itr-e-shahadat Sar Ta Paa Yeh Mashk-o-alam


7. Asghar Ki Tashna'labi Ka Gham

akbar Ki Jawani Ka Matam

khud Maut Ki Aankh Hai Purnam

rote Hain Lahu Ankho'n Se Baha Yeh Mashk-o- Alam


8. Baad-az-qatl-e-sibt-e-nabi

be Waali-o-waaris Aal-e-nabi

be Maqna-o-chadar Bint-e-ali

dete Hain Faheem Halmin Ki Sada Yeh Mashk-o-alam