zainab ye roke boli bhaiya na dil dukhao
kya dayr ka sabab hai ye to hamein batao
mashkeeza bhar ke jaldi darya se laut aao
bachi ki tashnagi ko tum aake khud bujhao
abbas abbas abbas pani lao
wo ghamzada yaqeenan yaadon mein kho gayi hai
baba ko rote rote khud thak ke sogayi hai
ya tashnalab sakina behosh ho gayi hai
pani ka deke cheenta tum hi usay jagao
abbas abbas abbas pani lao
haaton mein khaali kuze bache liye hue hai
gird e sakina dekho halqa kiye hue hai
bache na jaane kab ka pani piye hue hai
bin aab mar na jaaye pani unhe pilao
abbas abbas abbas pani lao
is bekasi pe haaye aata hai mujko rona
purhaul hai andhera aur khaak ka bichona
seene pe soni waali kya jaane aise sona
pyasi hai mustarib hai aa kar usay sulao
abbas abbas abbas pani lao
kaano mein al-atash ki awaaz aa rahi hai
aur uspe fauje aada ye zulm dha rahi hai
unko dikha dikha kar pani baha rahi hai
bache hai sheh ke pyase aada ko ye batao
abbas abbas abbas pani lao
ulfat ki aag dil mein payham lagi hui hai
rouza tumhara dekhe ye hasrate dili hai
zaair bane tumhara ye khahishe zaki hai
aankhon ki tashnagi ko tum hi isay bujhao
abbas abbas abbas pani lao