Kanz e Aza

Abbas se Kehna Hai

A noha for Moula Abbas (a.s), written by N. Sarwar & J. Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

ay ishq e hussaini mujhe aejaz dikha de

tu meri aqeedat ka mujhe aisa sila de

ek baar mujhe khwaab mein ghazi se mila de

jo baat hai is dil mein wo sarkar se kehna hai


abbas se kehna hai abbas se kehna hai

abbas se kehna hai alamdar se kehna hai

abbas se kehna hai

ghazi alamdar e wafa ghazi alamdar


abbas se kehna hai ke tum shaah e wafa ho

tum sheh ke alamdar sakina ke chacha ho

aur saare muhibbon ke liye dast e ata ho

abbas ghulami ki sanad aap se lena hai

abbas se kehna hai...


jo shaan e alamdar wohi shaan e alam hai

dono hi hamare hai ye maalik ka karam hai

maula ye alam aap ka ham sab ka bharam hai

hum ko to alam ke hi sada saaye mein rehna hai

abbas se kehna hai...


tum baab e hawaij ho waseela ho hamara

aata hai muraade liye chaukhat pe zamana

haa dar se tumhare koi khaali nahi jaata

allah se maanga hai magar tum ne dilana hai

abbas se kehna hai...


gham koi bhi jab dil ko hamare hai satata

jab koi kada waqt kabhi hum pe hai aata

abbas alam aap ka himmat hai badhata

dil toote to toota hua dil tum ko bulata hai

abbas se kehna hai...


sayeen mere sarkar mere murshid o maula

is baar moharam mein ho mera bhi bulawa

likhwado mera naam bhi zawwaro mein aaqa

ro ro ke tumhe nauha sakina ka sunana hai

abbas se kehna hai...


jo jo bhi sitam baad e alamdar hua hai

sadaat ne pardes mein jo zulm saha hai

har mod pe zainab ne yehi ro ke kaha hai

is dil pe jo guzri hai kisi se nahi kehna hai

abbas se kehna hai...


abbas se kehna hai ke ghar aao na maula

tum apni ziyarat hamein karwao na maula

ek tohfa tumhara hai wo le jao na maula

pani se bhari mashk sakina tumhe dena hai

abbas se kehna hai...


abbas mere rab ka anmol waseela hai

mashoor zamane mein saqqa e sakina hai

har toote huwe dil ka abbas waseela hai

ye baab e hawaij hai har gham ka madawa hai

har lab ka wazeefa hai har dil mein dhadakta hai

girton ko uthaata hai doobo to bachata hai

taqdeer jagaata hai qismat ko sajaata hai

abbas se kehna hai abbas se kehna hai


hasnain ka sadqa do abbas se kehna hai

jholi ko meri bhar do abbas se kehna hai

mushkil meri hal kar do abbas se kehna hai

parcham ki hawa dedo abbas se kehna hai

rauze pe bula bhejo zawwari ata kar do

maula ye karam kar do

abbas se kehna hai mujhe abbas se kehna hai