Kanz e Aza

Ja Ali Asghar

A noha for Ali Asghar (a.s), written by N. Sarwar & J. Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

jaa ali asghar jaa


ashoor ke din ali asghar ko

maa ro ro kar samjhati hai

tujhe aakhri jang ladna hai


tujhe laaj meri rakhna hai

tujhe baba sang jaana hai

tujhe aakhri jang ladna hai


is din ke liye hi maa teri

tujhe karbobala may laayi thi

is din ke liye hi beta

tujhe naaz se maa ne paala

tujhe aakhri jang ladna hai

jaa ali asghar jaa

ashoor ke din...


tu maa ka raaj dulaara hai

tu sab ki aankh ka taara hai

tu sher e khuda ka pota

tera naam ali hai beta

tujhe aakhri jang ladna hai

ashoor ke din...


aa laal tere kapde badlun

maqtal ke liye tayyaar karun

aa chehra choom loo tera

jee bhar ke dekh loo beta

tujhe aakhri jang ladna hai

jaa ali asghar jaa

ashoor ke din...


kabhi godh may zainab leti hai

kabhi pyaar sakina karti hai

qaimon may shor hai barpa

tu sab ki dua leta jaa

tujhe aakhri jang ladna hai

ashoor ke din...


maidan may ali ban kar jaana

baba ki nusrat farmaana

shabbir ka tu hai beta

abbas chacha hai tera

tujhe aakhri jang ladna hai

jaa ali asghar jaa

ashoor ke din...


har maa ne di qurbani hai

tujhe meri laaj nibhani hai

jab zaalim teer chalaye

baba ko na lagne paaye

tujhe aakhri jang ladna hai

ashoor ke din...