jalte jhoole ki raakh pe baithi
maa ki nazrein hai naize waalon par
jaane kyun naizon se ek sar talaash karte hai
wo maa ke saamne asghar talaash karte hai
hai sheerkhwar ka khyber shikan ka sar to nahi
jise yazeed ke lashkar talaash karte hai
jaane kyun naizon se...
layeen naize se asghar talaash kar ke bhi
zibha ke waaste khanjar talaash karte hai
jaane kyun naizon se...
wo naize jin pe hai asghar tera lahoo taaza
wo ab rabab ki chaadar talaash karte hai
jaane kyun naizon se...
sakina kaise jhulaati thi jhoola e asghar
hussain ro ke wo manzar talaash karte hai
jaane kyun naizon se...
wo muskurane ka lete hai is tarha badla
wo is ki laash ko has kar talaash karte hai
jaane kyun naizon se...
wo aise maar rahe hai zameen par naize
ke jaise sar nahi patthar talaash karte hai
jaane kyun naizon se...
chupa liya na ho teeron ke darmiyan kahin
wo sheh ke seene ke upar talaash karte hai
jaane kyun naizon se...
batool nauhe pe mujhko wo ajr dengi raza
jise tamaam sukhanwar talaash karte hai
jaane kyun naizon se...