JHULA JHULANE WALI AANSU BAHA RAHI HAI
Nanha sipahi mera besheer wo kahan hai
Sabr-o-sukoon ki meri tasweer wo kahan hai
Jaakar kahan mai dhundun taqdeer wo kahan hai
Asghar chale bhi aao madar bula rahi hai
Dekha hai chand mera kya tumne aye sitaro
Aya tumhari janib darya ke aye kanaro
Kuch to pata batao jungle ke aye baharo
Asghar chale bhi aao madar bula rahi hai
Shabbir le gaye the pani tumhe pilane
Ada-e-deen ko shayad mazloomiyat dikhane
Kis dil se mai ne bheja maidaan ko na jane
Asghar chale bhi aao madar bula rahi hai
Un zalimon ne shayad pani diya to hoga
Pyase the teen din ke pani piya to hoga
Shayad sukoon run mein tumko mila to hoga
Asghar chale bhi aao madar bula rahi hai
Aya na koi wapas maidaa’n ko jo gaya hai
Tum bhi na aa sakoge dil mera keh raha hai
Ankhon mein teen din se kyun khoon phir raha hai
Asghar chale bhi aao madar bula rahi hai
Afsoos hurmula ne teer-e-sitam wo maara
Maa ki murado’n wale bache ka halq cheda
Khaya Wafa na us ne kuch khauf bhi khuda ka
Asghar chale bhi aao madar bula rahi hai