KARBALA MEIN CHEHLUM HAI FATIMA KE DILBAR KA
Karbala mein aaya hai chhutke qaid se kunba
Bhai teri turbat par karne aaye hain girya
Laaye phool ke badle aansuwo’n ka ye tohfa
Qabr par shah-e-deen ke nauha hai ye Zainab ka Phir raha hai aankho mein karbala ka wo manzar
Bhai teri gardan par chal raha tha jab khanjar
Saamne mere bhaiya kat raha tha tera sar
Haye kaisi ghurbat thi dekhti rahi khwahar
Baad tere aye bhai aafato’n ne ghera tha
Karbala ke jungle mein har taraf andhera tha
Shaam ke biyabaa’n mein khauf ka basera tha
Paasbaa’n koi na tha sab ne muh ko phera tha
Baad-e-asre ashoora har qadam qayamat thi
Karbala se koofa tak hum pe kya museebat thi
Darbadar aseero par kaisi ye aziyath thi
Bekasi ka aalam tha zulm ki bhi shiddath thi
Zaalimo’n ne Abed par is tarah sitam dhaaye
Bediyaa’n bhi pehnaayi tauq bhi wo pehnaye
Paa barehna kaanto’n par naatawa’n ko chalwaye
Pusht par lage durre zaqm bhi ubhar aaye
Mehfil-e-Sitamgar mein le gaye hamein aada
Sab aseer kunbe ke haath the rasan basta
Reesma mein tha baandha ek gala Sakina ka
Ab kaleja phat-ta hai kya batau aye bhaiya
Karta hai Ali matam Fatima ke dilbar ka Aur karti hai matam Anjuman ye Sarwar ka
Karne aaye hain Moula Arbayee’n bahattar ka
Ho qubool ye nauha Waasta Payambar ka