KARNE AAYE HOON MAI BHAYE CHEHLUM TERA
Dukhtar-e-Fatema karti thi ye fughaa’n
Taziyanon ke bhi pusht par hai nishaa’n
Neel bazu pe hain dekho aye bhaye jaa’n
Jati hoon ab watan aye Shahe Karbala
Touq-o-zanjeer mein Abid-e-Natawaa’n
Paoun mein bediyan aur khoo’n tha rawaa’n
Zulm kaise sahe kya kahun dastaa’n
Jati hoon ab watan aye Shahe Karbala
Bhaye dukhtar teri zulm sehti rahi
Yaad har gaam pe tujhko karti rahi
Sham ki qaid mein ghut ke wo margayi
Jati hoon ab watan aye Shahe Karbala
Qaid ho kar mujhe sham jana pada
Bhaye khawhar teri hogayi berida
Balwa-e-aam mein sar khula tha mera
Jati hoon ab watan aye Shahe Karbala
Bhaye Abbas bhi naher par so gaya
Hath uske kate ghar mera lut gaya
Puche Umul Banee’n kya batao’n bhala
Jati hoon ab watan aye Shahe Karbala
Maa ki turbat pe ab jake Shahe Huda
Maa se kehdungi mai sab tera waqeya
Maa ko dikhlaongi khoo’n mein kurta bhara
Jati hoon ab watan aye Shahe Karbala
Puche Sughra agar to kahun use kya
Baba jaa’n hai kahan aur kahan hai chacha
Kuch to awaz do de rahi hoon sada
Jati hoon ab watan aye Shahe Karbala
Raat ko jis ki maa ka janaza utha
Usko darbaar mein le gaye berida
Hogaye thi Ali ek qayamat bapa
Jati hoon ab watan aye Shahe Karbala