Mai falak ki sataayi hu nana
Ujde kunbe ko laayi hu nana
Mere shaane mulaaheza keeje
Neel dikhlaane aayi hu nana
Behre soughaate fatima soughra
Kurta bhai ka laayi hu nana
Todi zaalim ne pasliyaa'n jiski
Mai usi maa ki jaayi hu nana
Mai madine se karbala jaakar
Bhai ko kho ke aayi hu nana
Be kafan dafn karke bhai ko
Be rida hoke aayi hu nana
Kehna zainab ka aah wo hilmi
Mai falak ki sataayi hu nana