Kanz e Aza

Mai hogayi tanha

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

mai hogayi tanha


zainab tadap ke ghazi ko deti rahi sada


mai hogayi tanha


ghar dekhte hi dekhte veeran hogaya


mai hogayi tanha


aye mere bhayya abbas aye mere bhayya abbas

lashe pade hai'n besar o samaan dasht me

manzar ye dekhkar mera dil khoon rogaya


mai hogayi tanha


khaimo'n ki simt badhte hai'n be qauf ashqiya

tanha behan pe waqt ye kaisa hai aa pada


mai hogayi tanha


mai kaise dekhu'n bhai sakina ka haal e zaar

dil phat raha hai dekh ke kurta phata hua


mai hogayi tanha


durre lage rida chhini phir qaid hogaye

baade hussain ham pe sitam par sitam huwa


mai hogayi tanha


kehte hain ashqiya ye jalado qayaam ko

ahle haram ka paasba'n ghazi nahi raha


mai hogayi tanha


bhai mere liye ye qayamat ki hai ghadi

ab rubaru hai ashqiya sar par nahi rida


mai hogayi tanha


zulm-o-sitam ke housle har gaam badhgaye

ummul banee'n ka laal jo gazi nahi raha


mai hogayi tanha


sadma rahega dil ko mere zindagi tamaam

dekha hai maine bhai ka kat-ta huwa gala


mai hogayi tanha


darya pe laashe ghazi tadap jati thi fida

ghurbat me binte zehra jo deti thi ye sada


mai hogayi tanha