maidan mein hussain ka ghamkhar gir pada
alamdar gir pada
shane kata ke ghode se jarrar gir pada
alamdar gir pada
dikhla gaya bahare wafa jaane murtaza
dooba hua lahoo mein hai armane murtaza
hai paara paara nehr pe qurane murtaza
fauje khuda ka haye alamdar gir pada
alamdar gir pada…
tanha hussain hogaye yawar nahi raha
tashna labon mein saaqiye kausar nahi raha
bibi sakina amme ghazanfar nahi raha
fauje khuda ka haye alamdar gir pada
alamdar gir pada…
thar-ra uthega gham se biyaban e karbala
royegi khoon shame ghariban e karbala
rassi mein baandhe jayenge mehman e karbala
fauje khuda ka haye alamdar gir pada
alamdar gir pada…
darya-e-zindagi ka kinara nahi raha
be-aas bibyan hai sahara nahi raha
tha dil ko jis se chain wo pyara nahi raha
fauje khuda ka haye alamdar gir pada
alamdar gir pada…
zarraate karbala ba alam bolne lage
abbas ke firaq mein aansu ubhal pade
shabbir kis tarha ali fitrat ye gham sahe
fauje khuda ka haye alamdar gir pada
alamdar gir pada…