Kanz e Aza

Maqtal me roke dukhtare sarwar yahi kahi

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

maqtal me roke dukhtar e sarwar yahi'n kahi'n

baba ka apne dhoond rahi sar yahi'n kahi'n

chilla rahi hai aye mere shero jawab do aur dhoondti hai aun o mohd ke lasho'n ko

zakhmi pade hai'n dono baradar yahi'n kahi'n


qasim ki khushbu aati hai roti hai mehlaqa

awaaz de rahi hai yahiran me baarha

tukde huwa hai qasim e be-par yahi'n kahi'n

girti hai aur uth-ti hai lasho'n ke darmiya'n aur keh rahi hai'n aasnu bahakar sakina jaa'n


besar pada hai lashkar-e-sarwar yahi'n kahi'n

kaano'n se khoo'n tapakta hai kurta lahu me tar

pyaaso'n ka nouha jaari hai sukhi zubaan par

kehti hai roke hai mera asgher yahi'n kahi'n


abbas e bawafa ki usey yaad aayegi

ammu kaha'n ho kehte huwe dhoondne lagi

sheh kapada tha sheh ka baradar yahi'n kahi'n

yeh kehke dhoodne lagi wo lasha-e-pidar


sojaungi mai chain se baba ke seene par

besar pada hai lasha-e-sarwar yahi'n kahi'n