Kanz e Aza

Maqtal me shahe dee ka lasha pada hua hai

A noha recited by Anjuman e Hussaini (Imambada). Lyrics in Roman Urdu.

MAQTAL MEIN SHAAH-E-DEE’N KA LASHA PADA HUWA HAI

Farzand-e-Fatima ko ghera hai ashqiya ne

Shamsheer-o-Tegh-o-Khanjar, Naize hain aur bhaale

Ab kaun hai jo run se laasha uthake laaye


Kaisi hai ye qayamat, kaisa ye saaniha hai


Raah-e-Khuda mein jiska sajde mein sar kata hai

Maidan-e-Karbala mein besar pada huwa hai

Jalti huwe zamee’n par laasha tadap raha hai


Kaisi hai ye qayamat, kaisa ye saaniha hai


Paamal horaha hai Ibn-e-Ali ka laasha

Koi nahi bachata Shah-e-Huda hai tanha

Abbas jald aao run mein pada hai aaqa


Kaisi hai ye qayamat, kaisa ye saaniha hai


Laaye the run se Sarwar Ibn-e-Hasan ke tukde

Ab kaun Laash-e-Sarwar maqtal se leke aaye

Bikhre huwe hai tukde maidaa’n mein Laash-e-Shai ke


Kaisi hai ye qayamat, kaisa ye saaniha hai


Laashe uthaye jisne din bhar bala ke bun mein

Laasha pada hai uska besar bala ke bun mein

Ghurbat ka hai numayaa’n manzar bala ke bun mein


Kaisi hai ye qayamat, kaisa ye saaniha hai


Manzar ye Karbala ka dega Ali gawahi

Sibt-e-Rasool par ye aafat hai kaisi aayi

Ye ANJUMAN HUSSAINI karti hai aah-o-zaari


Kaisi hai ye qayamat, kaisa ye saaniha hai