Kanz e Aza

Maqtal Suno Sakina

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mir Sajjad Mir (2026). Lyrics in Roman Urdu.

sar e hussain se ye keh rahi hai ek dukhiya

ay baba jaan mere maqtal suno sakina ka


qasam tumhare baradar ki jhuk gayi hai kamar

mai maa ke paas bhi jaati hoon ghutniyo chal kar

sitam hi itne huwe chaar saala zehra par

mujhe bhi theek se baba nazar nahi aata

ay baba jaan mere...

sar e hussain se ye...


hai taziyano se zakhmi mera badan baba

galay ke zakhm mein paywast hai rasan baba

yehi libaas banega mera kafan baba

badal na payegi ghussala bhi mera kurta

ay baba jaan mere...

sar e hussain se ye...


sitam uthaye hai kya kya tumhari beti ne

tamacha aap ko maara tha ek khooli ne

na jaane khaye hai kitne tamache bacchi ne

unhi tamachon se soojha hua hai ye chehra

ay baba jaan mere...

sar e hussain se ye...


galay mein mere rasan ban gayi hai ye khanjar

raghon se khoon tapakta hai mere kurte par

tum ek baar huwe qatl karbala mein magar

mai baar baar hui zibha ay mere baba

ay baba jaan mere...

sar e hussain se ye...


ab is andhere se kab aur darne waali hoon

mai kooch shaam ke zindan se karne waali hoon

mujhe pata hai mai is shab mein marne waali hoon

thay lene aaye mujhe khwab mein abhi bhaiya

ay baba jaan mere...

sar e hussain se ye...


sunaun kaise riwayat shaheed hone ki

ajeeb tarha se khairaat kar rahe thay shaqi

khajoorein phaynk rahe thay meri taraf shaami

ye zakhm dil pe mere patharon se hai gehra

ay baba jaan mere...

sar e hussain se ye...


ay baba shimr mujhe shaam tak satata raha

wo pani pee ke mere saamne bahata raha

jo durra pusht pe sajjad ki lagata raha

wo durra usne mere moo pe maara hai baba

ay baba jaan mere...

sar e hussain se ye...


sunaun shaam e ghariban ka aap ko manzar

layeen ne noch liye mere kaan se gohar

tamaam khoon mera beh gaya hai ris ris kar

safed hogaya beti ki aap ka chehra

ay baba jaan mere...

sar e hussain se ye...


bataya bacchi ne sajjad baap ko ro kar

har ek shehr mein maare gaye mujhe pathar

mai seedhi ho nahi paayi chali hoon jhuk jhuk kar

hai dard tooti hui phasliyon mein shiddat ka

ay baba jaan mere...

sar e hussain se ye...