Mar gayi hia binte shaahe karbala zindaan me
ro rahe hai ahlebaite mustafa zindaan me
boli baano lut gayi mai karbala me ya khuda
Kis tarah ho dafn ka saamaa'n bhala zindaan me
Bekasi ghurbat yateemi aur aseeri haye haye
Sar jhukaae baithe hai zainulleba zindaan me
Khaak par mayyat padi hai dukhtare shabbir ki
Karbala ka hoobahu hai waaqeya zindaan me
Roz o shab ghut ghut ke aaqir daste zulme shimr se Ki yateeme shaah ne aaqir qaza zindaan me
Peeto sar ahle azaa pursa do binte shaah ka
qaak udhaate hai aale aba zindaan me