mar jaye na sakina zindan mein tanha hai
ghere huwe bacchi ko ghurbat ka andhera hai
ye kaisi yateemi hai jo hai wo rulaata hai
na koi tasalli hai na koi dilaasa hai
mar jaye na sakina...
lab khushk hai bacchi ke aur haath rasan basta
kuch khaak hai baalon mein boseeda sa kurta hai
mar jaye na sakina...
sehmi hui baithi hai ek kone mein shehzadi
aahat bhi jo hoti hai dil kaampne lagta hai
mar jaye na sakina...
jis waqt tadapti hai baba ko sada de kar
masoom ki haalat par zindan bhi rota hai
mar jaye na sakina...
kal soyi thi shehzadi shabbir ke seene par
ab khaak ka bistar hai aur khaak ka takiya hai
mar jaye na sakina...
lillaah koi jaa kar bacchi ko chuda laaye
zaalim ke tamachon se behaal sakina hai
mar jaye na sakina...
yun tadpi sakina ke ghabra gayi zainab bhi
ro ro ke aseeron ne ghazi ko pukaara hai
mar jaye na sakina...
bas itna kaha gohar aur mar gayi shehzadi
bin baap ke dunya mein jeena koi jeena hai
mar jaye na sakina...