noha tha sakina ke lab par
zindan may andhera gehra hai
mar jaungi tanha darr darr kar
zindan may andhera gehra hai
mai kab se sadayein deti hoo
kyun sunte nahi faryad meri
mai roti nahi ay baba magar
zindan may andhera gehra hai
noha tha sakina ke lab par...
masoom sakina sehmi hui
ek kone may simti baithi hai
kuch aata nahi bachi ko nazar
zindan may andhera gehra hai
noha tha sakina ke lab par...
jeene ki mujhe kuch aas nahi
ab koi bhi mere paas nahi
roti hoo akele darr darr kar
zindan may andhera gehra hai
noha tha sakina ke lab par...
ay baba gar mai mar jaun
to shaam se pehle turbat par
ek shamma jala dena aakar
zindan may andhera gehra hai
noha tha sakina ke lab par...
khud shaam ke rehne waale bhi
ye soch ke aahein bharte hai
kamsin hai bahot sheh ki dukhtar
zindan may andhera gehra hai
noha tha sakina ke lab par...
jo noor thi sheh ki aankhon ka
wo bachi andheri qaid may hai
har lamha qayamat hai us par
zindan may andhera gehra hai
noha tha sakina ke lab par...
ab iske ujaalon se raushan
hai saara zamana ay gohar
kehti thi jo bachi ro ro kar
zindan may andhera gehra hai
noha tha sakina ke lab par...