raat to khair kisi taur guzar jayegi
subhe ashoor qayamat ki khabar aayegi
aaj har qaima hai aabaad badi raunak hai
haye kal shaam ko basti ye ujad jayegi
raat to khair kisi taur...
ran mein goonjegi jo shehzada e akbar ki azan
maa sada sunte hi dil thaam ke reh jayegi
raat to khair kisi taur...
kooch kar jayenge sab akbar o abbas o hussain
qaima e shaah mein veerani si chaa jayegi
raat to khair kisi taur...
haye chid jayegi baysheer ki gardan ran mein
aur dar e qaima se maa dekhti reh jayegi
raat to khair kisi taur...
tukde ho jayega qasim ka badan maqtal mein
ek dulhan ki bhari maang ujad jayegi
raat to khair kisi taur...
is khadar chaayi do aalam pe zaeefi hogi
laash akbar ki na shabbir se uth payegi
raat to khair kisi taur...
baap ke seene pe sone ki jisay aadat hai
khaak par kaise bhala neend usay aayegi
raat to khair kisi taur...
qaime jal jayenge lut jayegi aulaad e nabi
haye zainab ki rida dasht mein chin jayegi
raat to khair kisi taur...
ek din aayega aisa bhi jahan mein gohar
har gali kooche se matam ki sada aayegi
raat to khair kisi taur...