rab khair karein mere baba ki
sughra ki sada ye hai
kal khaab may dekha tha ye saman
tapta hua sehra khoon ke nishan
thay ahmed e mursal ashk fishan
jalte hue qaimon ka tha dhuan
rab khair karein…
kumlaaya hua tha kyun asghar
dar pe thi khadi gham may madar
jhoola bhi jala aata hai nazar
kya koi nahi jo le iski khabar
rab khair karein…
ghatri may ye kiska laasha hai
wan ghash may padi kyun kubra hai
kyun sar ko jhukaye baba hai
rota hua mera kunba hai
rab khair karein…
girte thay kabhi uth'te thay kabhi
thi unki kamar kis gham se jhuki
chalti thi galay pe unke churi
sar peet ke roye dada ali
rab khair karein…
kuch bibiyan thi jo qaidi bani
be saaya thi be chadar thi
bache thay kahin maa'ein thi kahin
rota tha falak hilti thi zameen
rab khair karein…
wo kiske jawan ka laasha tha
seene may tha uske naiza gada
thay jisko uthaye shaahe huda
kya akbar mera maara gaya
rab khair karein…
darya ke kanare ammu mera
haaton ko kataye kyun hai pada
parcham bhi hai uska khoon may bhara
kya maajra hai ya rab tu bata
rab khair karein…
jab bhi ye pada jaye nauha
charon taraf hoga shor bapa
hai ahmed o mohsin ki ye dua
humse ho khush bibi zehra
rab khair karein…