Kanz e Aza

Riwayate Ume Salma

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

wo madina wo asr e ashoora

qabr e ahmed se lipti thi sughra

dil pareshan udaas tha chehra

band aankhein thi ghash ka aalam tha

khwaab mein jaane aisa kya dekha

uthi ghabra ke pahunchi ghar sughra

umme salma se boli ro ro kar

maine dekha sina pe baba ka sar

dil mera baitha jaa raha hai yahan

ye andhera kyun chaa raha hai yahan

wavaila wavaila wavaila wavaila


surkh ye aandhiyan kyun chalti hai

kyun falak se lahoo barasta hai


nani jaan aap ki ye khamoshi

meri bechaini aur badhati hai

is baraste huwe lahoo se mujhe

mere asghar ki khushboo aati hai

dekho ye surkh aandhi kyun mujhko

uska zakhmi gala dikhaati hai


umme salma ne kaha thaam ke dil sun sughra

jisko tu lori sunaati thi jhula kat jhoola

itni shiddat se usay teer layeen ne maara

ruk gayi saans khula reh gaya moo pyase ka

maarne waalon ko jab sar na milega uska

maar kar naiza nikalenge wo laasha uska

wa asghara wa asghara wa asghara wa asghara


surkh ye aandhiyan kyun chalti hai

kyun falak se lahoo barasta hai


boli sughra na jaane kyun nani

mere seene mein dard uth'ta hai

maine dekha ke naujawan koi

khaak par aediyan ragadta hai

mere akbar ki khair ho wo jawan

mere bhai ke jaisa dikhta hai


umme salma ne kaha

hai nahi tha wo tera bhai jo ab maara gaya

wo tujhe lene nahi aayega ab ay sughra

uske seene mein layeen tod chuka hai naiza

is liye dard tujhe seene mein mehsoos hua

jab tere baba ne khayncha hai wo naiza baahar

aa gaya saath mein akbar ka kaleja baahar

wa akbara wa akbara wa akbara wa akbara


surkh ye aandhiyan kyun chalti hai

kyun falak se lahoo barasta hai


inna lillah padh ke wo boli

mere ammu to khair se hai na

unke hote huwe mere akbar

aur asghar ko kis ne maar diya

unke baazu khuda salamat rakh

roz karti hoo nani mai ye dua


umme salma ne kaha

sughra ab uske liye aur dua mat maango

kat gaye haath wo darya ke kanare dekho

teer barsaye gaye ghayr ke maara usko

kaise bin haath wo ghode se gira ma poocho

gurz jab maara kisi ne wo sambhal na paaya

moo ke bal zeen se abbas zameen pe aaya

wa abbasa wa abbasa wa abbasa


surkh ye aandhiyan kyun chalti hai

kyun falak se lahoo barasta hai


haath aankhon pe rakha sughra ne

aur ghabrake boli ay nani

dekhti hoo hamare qaimon mein

le ke aaye hai baba ek gathri

us mein kya hai bataye aap mujhe

kyun wo gathri hai khoon mein doobi


umme salma ne kaha

sughra us gathri mein qasim ka tere laasha hai

uska ghodon se layeeno ne badan ronda hai

khoon ki mehendi lagi tukdon mein wo bikhra hai

chun ke baba tera qaimon mein abhi laaya hai

farwa us gathri ke ab charon taraf ghoomti hai

mere bete ka sirhana hai kahan dhoondti hai

wa qasima wa qasima wa qasima


surkh ye aandhiyan kyun chalti hai

kyun falak se lahoo barasta hai


aah bhar kar ye poocha sughra ne

mere do bhai aur gaye thay wahan

aur ghabra raha hai dil mera

jab se dekha hai maine nani jaan

do janazon pe ro rahe hai sab

aur khamosh hai phupi amma


umme salma ne kaha

hai tere aun o mohamed ke wo laashe sughra

unko bhi maar diya nehr kanare pyasa

bhai par kar diya zainab ne ye keh kar sadqa

ye rahe na rahe zinda rahe bhai mera

mar gaye aun o mohamed ye kaha jab sab ne

rona to door hai dekha bhi nahi zainab ne

haye aun o mohamed haye aun o mohamed

haye aun o mohamed haye aun o mohamed


surkh ye aandhiyan kyun chalti hai

kyun falak se lahoo barasta hai


peet kar sar ye boli phir sughra

ab to bas baba reh gaye mere

kya chupaati hai aap chadar mein

khushboo baba ki aa rahi hai mujhe

asr ka waqt jaa chuka phir bhi

surkh hai kyun ye aasmaan khoon se


umme salma ne kaha

sughra mar jaaogi ye keh ke hatayi chadar

umme salma ne jab ek sheeshi nikaali baahar

dekha jab sughra ne us sheeshi mein khaak aur lahoo

bol uthi aati hai baba ke lahoo ki khushboo


umme salma ne kaha maara gaya baba tera

tera zarbon se sitamgar ne gala kaat diya

haye hussain haye hussain haye hussain haye hussain


teer barsaye kisi ne usay naiza maara

shimr ne khaynch ke baalon se tamacha maara

is liye aandhiyan chalti hai suno ay meri jaan

dasht mein khaak udaate hai rasool allah wahan

sar shikasta hai ali bhi hai wahin par sughra

aate hai zakhmi jigar leke hassan sabz qaba

shimr sar kaat'ta tha baith ke jab seene par

saath zainab ke sakina ne wo dekha manzar


shabe ashoor se baithi thi tumhari dadi

saaf baalon se wo karti thi zameen maqtal ki

shimr ne waar kiye haath rakha zahra ne

dekha zainab ne gira khaak pe jab sar kat ke

shimr ke haathon mein ab sar hai tere baba ka

is liye khoon barasta hai falak se sughra


bola farhan se zeeshan tadapta hai dil

waqt tha fatema sughra pe wo kitna mushkil

khoon jab nani ne baba ka dikhaya hoga

apna ghar sughra ko maqtal nazar aaya hoga