Kanz e Aza

Sallallahu Alaik ya

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

sallallahu alaik ya fatimeh


aansu mere dete hai tumko sada bibi

bechain dil hai mera bibi

qadmon mein dedo jagah bibi

marzi hai darkaar ya marzia

dedo mughe farshe gham ka sila

shabbir ka tum ko hai waasta

sunlo mere aansuon ki sada

sallallahu alaik ya fatimeh


ya sayyeda mushkil kusha ho ali ki tum

ho haal dil ka samjhti tum

faryaad sunlo hamari tum

kar dijiye humpe apna karam

dil mein rahe bus hussaini gham

sab door hojaye ranj o alam

toote dilon ka tum hi aasra

sallallahu alaik ya fatimeh


ya fatema chadar ka humpe karo saaya

hai dard o gham ne mujhe khaaya

dar pe tumhare chala aaya

allah o akbar ye teri rida

deti rahi mustafa ko shifa

hum par bhi nazre karam ho zara

kar dijiye dard o gham ki dawa

sallallahu alaik ya fatimeh


hum ko mila jo kuch wo teri badolat hai

hoo matami meri qismat hai

hum par teri ye inayat hai

allhamdolillah hai tera karam

keh laaye jaate hai hussaini hum

shabbir ka dil mein basa hai gham

hum hai azadaar teri dua

sallallahu alaik ya fatimeh


dil phat gaya yaad aaya phelu tera bibi

dar jalta tumpe gira bibi

kis tarha tumne saha bibi

mohsin tumhara na zinda raha

baaghe fidak tumse cheena gaya

har zulm ummat ka tumne saha

lekin wilayat ko zinda rakha

sallallahu alaik ya fatimeh


karbobala mein bas luta hai tera hi ghar

pyasa raha hai tera sarwar

be aasra thi teri dukhtar

jis waqt chinti thi sar se rida

akbar na qasim na abbas tha

ro ro ke deti rahi wo sada

ya zahra ya zahra ya zahra

sallallahu alaik ya fatimeh


hai muntazir zeeshan aur tera taha

aa jaye jald tera beta

dekhe taameer tera rauza

hojaye ab jald unka zahoor

ab hum na reh payenge unse door

ay bibi dil mera gham se hai choor

saanson ka ruk jaye na silsila

sallallahu alaik ya fatimeh