Kanz e Aza

Sayyeda Ko Na

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Nadeem Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ay musalmano khuda ka khauf khao

sayyeda ko na satao


ek yateema ko khudara na rulao

sayyeda ko na satao


kya tumhe daaghe yateemi ka kuch andaza hai

zakhm baba ki judaai ka abhi taaza hai

gham ki maari pe ay logon rehm khao

sayyeda ko na satao

ay musalmano...


ye wohi dar hai salaami jahan dete thay rasool

ye wo gulshan hai jahan rehte hai hasnain se phool

lakdiyan le ke tum is dar pe na aao

sayyeda ko na satao

ay musalmano...


tum ko kya khauf nahi qehre khuda ka logon

yun ghareebon ko satana nahi acha logon

hai payambar ka ye gulshan na jalao

sayyeda ko na satao

ay musalmano...


malka e sharm o haya par ye sitam kya kam tha

apna haq maangne darbar mein aayi zahra

ab na tum in ke dukhe dil ko dukhao

sayyeda ko na satao

ay musalmano...


kya khabar tum ko ki kya tum ne sitam dhaaya hai

bhare darbar mein siddiqa ko jhutlaya hai

dard ke teer na ab aur chalao

sayyeda ko na satao

ay musalmano...


daastan zulm o tashaddud ki wo karte hai bayan

abhi ruqsaar pe baaqi hai tamachon ke nishan

waasta tum ko khuda ka laut jao

sayyeda ko na satao

ay musalmano...


ay nadeem aag layeeno ne lagayi jis dam

apna sar peet ke kehne lagi fizza us dam

zakhm ye dil pe nabi ke na lagao

sayyeda ko na satao

ay musalmano...