yusuf e laila akbar
meri tamanna akbar
ay mere beta akbar
yusuf e lalila akbar meri tamanna akbar
tu hi bata de beta kaise jiyegi maadar
lut gayi dunya meri khaak hua mera ghar
tu hi bata de beta kaise jiyegi maadar
daagh pisar ka lekar jeena bhi kaisa jeena
baad tere ay beta khaak hai mera jeena
saansein bhi ab chalti hai ban ke jigar pe khanjar
tu hi bata de beta kaise jiyegi maadar
yusuf e lalila akbar...
arz e bala ne looti saari kamayi meri
maang bhi ujdi meri kok bhi ujdi meri
umr guzaare laila kiske sahare dilbar
tu hi bata de beta kaise jiyegi maadar
yusuf e lalila akbar...
kya thi tamanna meri aur sitam kya dekha
na teri dulhan dekhi na tera sehra dekha
mehendi lagati jispar haath wo hai khoon mein tar
tu hi bata de beta kaise jiyegi maadar
yusuf e lalila akbar...
lutf mujhe jeene ka us ghadi aata akbar
tera pisar jab dadi kwhke bulaata akbar
dil ki tamannayein sab reh gayi dil mein ghut kar
tu hi bata de beta kaise jiyegi maadar
yusuf e lalila akbar...
din ye kisi dushman ko bhi na khuda dikhlaye
rab na kare jeete ji maa se pisar chin jaaye
kaise mai rakhlun akbar apne jigar pe pathar
tu hi bata de beta kaise jiyegi maadar
yusuf e lalila akbar...
usko bhala kaise ho jeene ki chaahat beta
jisne jawan bete ki dekhi ho mayyat beta
ye bhi koi jeena hai maut hai is se behtar
tu hi bata de beta kaise jiyegi maadar
yusuf e lalila akbar...
haal nadeem us maa ka mujhse bayan kya hoga
jeeti rahi wo jab tak padhti rahi ye nauha
door hua tu jab se chain nahi hai pal bhar
tu hi bata de beta kaise jiyegi maadar
yusuf e lalila akbar...