naujawan laal mar gaya
haye akbar
kadiyal jawan bete ka laasha hai khaak par
maqtal mein ro rahi hai zaeefi hussain ki
beenayi jaa chuki hai kuch aata nahi nazar
maqtal mein ro rahi zaeefi hussain ki
haye mazloom hussain
do bhaanje hussain ke pehle hi mar gaye
qasim bhi ammu jaan ko be-aas kar gaye
ab hai jawan laal ka laasha lahoo mein tar
maqtal mein ro rahi...
haye fatema ka laal
boodhe pidar ke saamne farzand mar gaya
seena ghamon se baap ka ghurbat mein bhar gaya
shabbir haath malte hai akbar ki laash par
maqtal mein ro rahi...
haye hussain
dil phat raha hai fatema zahra ke chain ka
koi nahi hai poochne waala hussain ka
jalti hui zameen hai aur laasha e pisar
maqtal mein ro rahi...
mazloom e karbala
toda gaya zaeef ka pardes mein asaa
loota gaya hussain ki peeri ka aasra
ghurbat mein maar dala gaya naujawan pisar
maqtal mein ro rahi...
naujawan laal
bete ke gham se choor hai mazloom e karbala
aur has rahe hai baap ki ghurbat pe ashqiyan
koi zara furaat pe jaa kar kare khabar
maqtal mein ro rahi...
haye ghurbat e hussain
sadma bahot hai bekas o tanha hussain ko
deta nahi hai koi sahara hussain ko
bas nehre alqama ki taraf dekh dekh kar
maqtal mein ro rahi...
haye mazloom husain
laasha hai naujawan ka kaise uthayenge
lekar ke qaimagah talak kaise jayenge
abbas aao jald taraayi ko chod kar
maqtal mein ro rahi...
haye fatema ka laal
aankhon se khoon behta hai aur sar pe khaak hai
mazloom e karbala ka gireban chaak hai
atthara saal waale ka zaanu pe rakh ke sar
maqtal mein ro rahi...
mazloom e karbala
waiz jawan ki laash hai zahra ka laal hai
ab kaun boodhe baap ka pursane haal hai
thaame hai dono haathon se tooti hui kamar
maqtal mein ro rahi...