Kanz e Aza

ZAMEENE GARM PA LAASHA PADA HAI AKBAR KA

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Akhtar Zaidi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Salaam Rukhsate aakhir Hussain tak pohncha

Hai sakht aalame ghurbat meLaal Zehra ka

Koi nahi'n jo bataaye ke hai kaha'n Laasha

Hussain dhoond rahe hain Pisarnahi'n milta


Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka


Zaeef Baap ki nazre'n Jawaan ka Laasha

Hai Gham se surkh Hussaine ghareeb ka chehra

Sirhaane baith ke paiham ye de rahe hain sada

Hussain Aaya Hai milne jawaab do Beta


Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka


Hai khaimagaah me har simt hashr ka saamaa'n

Shabeehe Husne Payambar tha Akbare Zeesha'n

Bahan ke dil me tha Bhai ke byaah ka armaa'n

Sakina kehti hai Bhayya kahan gaye Amma


Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka


Khuda hiJaane ke Shabbir kitne hain be aas

Na koi Bhai na Beta hai ab Ghareeb ke paas

Shadeed dhoop me reh reh ke badh rahi hai pyaas

Hussain kitne hain tanha bichhad gaye Abbas


Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka


Kaleja dekh ke Bete ka dil tadapta tha

Hussain dekhte the aur ghar ujadta tha

Tha aftaab falak pa abhi ujala tha

Magar Hussain ki aankhon me bas andhera tha


Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka


Qadam Hussain ke Akhtar zamana choomega

Maqaame arsh pa dekhegi sabr ko duniya

Rahega lab pa fazaaon ke har ghadi Nouha

Hussain uthaaenge LaashaJawaan Bete ka


Zameene garm pa Laasha pada hai Akbar ka