Kanz e Aza

Aaja Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Jawad Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

aaja akbar shabihe paighambar

shakle zehra tujhe bulaati hai

khaali hujron mein yaadon ke

roz sughra diye jalaati hai


bhaiya ujde gharon ki tanhaai

kaise dekhegi teri maajayi

bain kar ke ye khud bhi roti hai

nani salma ko bhi rulaati hai

aaja akbar...


khatm muddat ho ab judaai ki

nana surat dikha de bhai ki

gham ki roodad jo ke dukiyari

roz nana ko ro sunaati hai

aaja akbar...


deti paigham hai parindo ko

koi akbar se jaa ke ye keh do

lab pe sughra ke naam hai tera

ashk shaam o sahar bahaati hai

aaja akbar...


din ko takti hai raah wo teri

raat kat'ti hai yaad mein teri

jab se bichda behen se tu akbar

chain ek pal kahan wo paati hai

aaja akbar...


jab kabhi dekhti hai gehwara

yaad aata hai hasliyon waala

deti hai loriyon khayalon mein

jhoola asghar ka wo jhulaati hai

aaja akbar...


boli jawwad shaah ki dukhtar

yaad karti hai tujhko ro ro kar

kya kabhi tujhko bhi ali akbar

bhool kar meri yaad aati hai

aaja akbar...