deti hai zanjeer gawahi kis ka hai taboot utha
chauda saal ke baad hua hai zindan se mazloom reha
kadiyon mein paband janaza le ke hai mazdoor chale
karne lagi hai aap ghareebi matam musa kazim ka
deti hai zanjeer gawahi...
haye baad e shahada ke bhi pusht na seedhi hoti thi
chauda saal ruku mein reh kar maula ka ye haal hua
deti hai zanjeer gawahi...
dekh ke haalat bewa maa ki betiyan hai behaal hui
sar mein khaak e yateemi le kar rota hai mazloom raza
deti hai zanjeer gawahi...
angooron mein zeher khila kar maara hai pardesi ko
fil qurba ka aale nabi ko ummat ne ye ajr diya
deti hai zanjeer gawahi...
jo tha saatwan rukn e imamat dhaaya zaalim logon ne
galiyon mein baghdad ki ro kar deta hai jibreel sada
deti hai zanjeer gawahi...
kalma go batlao kya ye paak nabi ka khoon nahi
be-waris baghdad ke pul par jis ka hai taboot pada
deti hai zanjeer gawahi...
kar ke raqam maula ke masayeb rota hai jawad qalam
kazim ka hai sog manaati kar ke matam aap qaza
deti hai zanjeer gawahi...