haye moosa-e-kazim
ek ghareebul watan qaid mein mar gaya
pul pe baghdad ke hai janaza rakha
khoon aankhon se apni bahate hue
hatkadi bediyan tauq pehne hue
qaid sajjad ki yaad karta hua
ek ghareebul watan…
jis ke athara bete jawan saal ke
uski mayyat ko mazdoor le kar chale
bain karti chali saath mein sayyeda
ek ghareebul watan…
ajnabi shehr hai door ahle watan
tere baba ko de kaun ghusl o kafan
aao jaldi watan se imam e raza
ek ghareebul watan…
sabr karna hai sughra ke jaisa tujhe
raasta dekhna baap ka chod de
jaa ke masoom-e-qum se kehde hawa
ek ghareebul watan…
qaid mein chal basa shaahe kaun-o-makan
ab to mazloom ki khol do bediyan
tumne chaaha tha jo lo wohi hogaya
ek ghareebul watan…
laash par bhi nahi rone wala koi
warise deen ki haye bewaarsi
dhoonti hai khaza dafn karne ki jaa
ek ghareebul watan…
bayn karte takkalum sabhi aa gaye
karbala se madine se aur sham se
chauda barson ka qaidi reha hogaya
ek ghareebul watan…