haye sakina haye sakina
qaid khane se yehi ab bhi aati hai sada
haye tanha hai sakina kitni tanha hai sakina
kaun aayega bhala ab jalane ko diya
haye tanha hai sakina kitni tanha hai sakina
pyaas masoom sakina ki bujha do jaa kar
nauha ammu ka bhatiji ko suna do jaa kar
ho kahan ahle aza shaam ka waqt hua
haye tanha hai sakina...
jaa chuke ahle haram usko rehaai na mili
qabr mein jaa ke bhi bacchi hai abhi tak qaidi
is ka nanha sa gala reesma se hai bandha
haye tanha hai sakina...
jab talak zinda thi fizza ye kiya karti thi
roz roshan usi turbat pe diya karti thi
aayi jab usko qaza dil e fizza ne kaha
haye tanha hai sakina...
dasht mein choot gaye saare sahare uske
saare pyare huwe allah ko pyare uske
aaye baba na chacha saath koi na raha
haye tanha hai sakina...
maa madine mein bahot door tadap jaati thi
shaam ke waqt bahot shaam ki yaad aati thi
jab diya ghar mein jala maa ne sughra se kaha
haye tanha hai sakina...
apne qaayam ko zara jald bula lo maula
ab sakina ko andheron se bacha lo maula
roz ye karbobala jaa ke kehti hai hawa
haye tanha hai sakina...
aaj bechain har ek ahle nazar hota hai
shaam ke sunte hai halaat to dil rota hai
na wo majlis na buka phir hai khamosh faza
haye tanha hai sakina...
shadman hai ye dua phir se ho matam barpa
phir sakina ko takallum de chacha ka pursa
phir biche farshe aza dil tadapta hai mera
haye tanha hai sakina...