shaam ke zindan mein bali sakina kho gayi
qabr mein haye haye baba kehte kehte so gayi
hogaya khamosh zindan hai udaasi chaa gayi
hai khiza mein baaghe ismat ki kali murjha gayi
shaam ke zindan mein bas goonjti thi siskiyan
thay andhere char soo na paas baba tha na maa
haye masooma ko hai zindan ki garmi khaa gayi
hogaya khamosh zindan...
baba ke seene bina ab neend aati hai kahan
na mite ta marg zulmi tamachon ke nishan
dekh kar jor o sitam haye maut bhi ghabra gayi
hogaya khamosh zindan...
muntazir jiski madine mein rahi sughra behan
reh gayi haye shaam mein jaa sakina hai watan
karke wo islam zinda wo rayghe ghareeban paa gayi
hogaya khamosh zindan...
cheene durr hai zaalimon ne par utaare na rasan
haye jo kurta tha jala wohi bana uska kafan
chod usko shaam mein hai maa watan tanha gayi
hogaya khamosh zindan...
majlis o matam mein hai khursheed shaamil ambiya
ay azadaron zara do mil ke matam ki sada
laadli shabbir ki dene dua aa gayi
hogaya khamosh zindan...