Kanz e Aza

Jannat ke Sardar

A noha written by Haider Khursheed. Lyrics in Roman Urdu.

jannat ke sardar ya hassan

jannat ke sardar ya hussain

hussain ya hussain hussain ya hussain


panjetan ke gharane ka jo hubdaar nahi hai

mehshar mein shafa'at ka wo haqdaar nahi hai

wo hubdaar nahi hai

wo haqdaar nahi hai


tehreer mohamed ki jo khatir mein na laaye

jo hoke musalman dile zahra ko dukhaye

batlao tumhi kya wo gunahgaar nahi hai

mehshar mein shafa'at ka wo haqdaar nahi hai

wo hubdaar nahi hai

wo haqdaar nahi hai


seena zani ye aansu hai momin ki nishani

jannat mein leke jayega aankhon ka ye pani

gham mein hussain ke jo soghwaar nahi hai

mehshar mein shafa'at ka wo haqdaar nahi hai

wo hubdaar nahi hai

wo haqdaar nahi hai


beyaar o madadgaar mohamed ka nawasa

karbobala ke ban mein hai maara gaya pyasa

aale rasool ka jo azadaar nahi hai

mehshar mein shafa'at ka wo haqdaar nahi hai

wo hubdaar nahi hai

wo haqdaar nahi hai


allah ne bade pyar se panjetan ko banaya

ye mere hai mai inka hoon ye sabko bataya

farmaan e khuda se jise aetbaar nahi hai

mehshar mein shafa'at ka wo haqdaar nahi hai

wo hubdaar nahi hai

wo haqdaar nahi hai


aajaiye khudara mere baarwein imam

khursheed ki aankhein hai muntazir ye subho shaam

jis jis ko bhi qaayam ka intezar nahi hai

mehshar mein shafa'at ka wo haqdaar nahi hai

wo hubdaar nahi hai

wo haqdaar nahi hai