Kanz e Aza

Qatl Bhai Ho Raha

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Haider Khursheed. Lyrics in Roman Urdu.

qatl bhai ho raha hai di ye zainab ne sada

oonchi hokar ay zameen tu mujhko ye manzar dikha


hukm sun kar sayyeda ka ho gayi oonchi zameen

bhai ko dekha to na tha zeen pe na bar zameen

teeron talwaron mein tha mazloom shaah e karbala

oonchi hokar ay zameen tu mujhko ye manzar dikha

qatl bhai ho raha hai...


qatl pyasa zer e khanjar ho raha shabbir hai

zaalimon se keh rahi ro ro ke ye hamsheer hai

yun sitam dhao na tum bhai mera hai bekhata

oonchi hokar ay zameen tu mujhko ye manzar dikha

qatl bhai ho raha hai...


najaf se aaye ali baqaiye se aayi fatema

peet'te sar ko thay apne karte thay aah o fughan

aur thay girya kuna maqtal mein shaah e ambiya

oonchi hokar ay zameen tu mujhko ye manzar dikha

qatl bhai ho raha hai...


karbala mein shaah e deen ne aakhri sajda kiya

tera zarbon se layeen ne sar kiya tan se juda

khoon barsa aasmaan se tha andhera chaa gaya

oonchi hokar ay zameen tu mujhko ye manzar dikha

qatl bhai ho raha hai...


baad e qatl e sheh chali khursheed gham ki aandhiyan

aa gaya shabbir ka sar bar sar e nok e sina

haye mere bhai ka hai bin sar kahan laasha pada

oonchi hokar ay zameen tu mujhko ye manzar dikha

qatl bhai ho raha hai...