Kanz e Aza

Soona Hai Bin Tere

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Haider Khursheed. Lyrics in Roman Urdu.

asghar ho tum kahan bhaiya ho tum kahan

soona hai bin tere ye jahan ye jahan asghar


mai tapti rayt mein dhoondun tumhe kahan

soona hai bin tere ye jahan ye jahan asghar


na misl teri koi dekhi hai tasveer e ali

tere hi dam se ye islam ki mushkil hai tali

deene ahmed ko tera yaad hai ehsaan asghar

soona hai bin tere...


bin tere kaise piye pani ye hamsheer teri

mujhko pani mein nazar aati hai tasveer teri

bhulaun kaise mai sookhi teri zaban asghar

soona hai bin tere...


loriyan di na tujhe godh mein khilaya nahi

jhoola jee bhar ke teri behan ne jhulaya nahi

huwe na poore mere dil ke ye armaan asghar

soona hai bin tere...


sun ke hal min ki sada jhoole se gir jaana tera

haathon pe baba ke seh pehlu teer khaana tera

kar gaya saare zamane ko tu hairaan asghar

soona hai bin tere...


tere khursheed ko ek pal na chain aata hai

haye wo pyasa gala tera yaad aata hai

tu has ke tod gaya hurmal ki hai kamaan asghar

soona hai bin tere...