Kanz e Aza

Tadap ke Karti

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Akhtar. Lyrics in Roman Urdu.

tha karbala mein ajab imtehane tayghe ali

wo ek nanhi si mayyat wo jaan tayghe ali

thi dard naak bahot dastane tayghe ali

fazayein roti thi sunkar bayane tayghe ali


haye zulfeqar haye zulfeqar

tadap ke karti thi maqtal mein zulfeqar ye bain

mai kaise khodun lehad ek bezuban ki hussain


duayein do meri himmat ko aazmate hue

dikhayi dete hai mujhko rasool aate hue

hassan ka haath hai qabze pe kapkapate hue

batool dekh rahi hai lehad banate hue

tadap ke karti thi...

mai kaise khodun...


ye soch soch ke aankhon se khoon jaari hai

ke jiski jhoole mein maine nazar utaari hai

usi ki qabr banane ki zimmedari hai

ye imtehan to badr o ohad se bhaari hai

tadap ke karti thi...

mai kaise khodun...


mai aaj nanhi si turbat agar banaungi

tamaam umr ye manzar bhula na paungi

palat ke qaime mein maqtal se jab mai jaungi

to kaise maadare asghar ko mai moo dikaungi

tadap ke karti thi...

mai kaise khodun...


ghareeb maa ki amanat ko kho nahi sakti

mai apne kaandhon pa ye bojh dho nahi sakti

kisi ke aankh ke aansu piro nahi sakti

mai maamta ka safina dubo nahi sakti

tadap ke karti thi...

mai kaise khodun...


ye yaadgar hai ek beqaraar jhoole ki

bula rahi hai tadap baar baar jhoole ki

hai lakdiyon ko bahot intezar jhoole ki

zameen ko saump doo kaise bahaar jhoole ki

tadap ke karti thi...

mai kaise khodun...


zameen e garm hai aur bezuban ka laasha hai

lahoo galay ka na baasho ka doodh sookha hai

mere khuda ye mera imtehan kaisa hai

usi ki qabr banaun jo mujhse khela hai

tadap ke karti thi...

mai kaise khodun...


lehad banane ka asghar ki kaam mat saumpo

sulagte dasht mein ye intezaam mat saumpo

jahan e sabr ka mujhko nizam mat saumpo

jawab deti hai himmat imam mat saumpo

tadap ke karti thi..

mai kaise khodun...


rakhe hai nauhe mein akhtar ne lafz chun chun ke

kaleja phat'ta hai irfan sab ka sun sun ke

jigar ke khoon se masayab ke khwaab bun bun ke

malak bhi rone lage aasman pa sar dhun ke

tadap ke karti thi...

mai kaise khodun...