Kanz e Aza

Tha Ye Bano Ka Bayaan

A noha for Ali Asghar (a.s) (2006). Lyrics in Roman Urdu.

Tha ye bano ka bayan

tha yeh bano ka bayaan

kisko du ab loriyan

dhundti firti hai maa


hai mera asgar kaha


tera jhula jal gaya

ai mere tishnadahan

dhundti firti hai maadar


hai mera asgar kaha


haye woh nazuk gala

teen din se khushk tha

behte mauje kiiii woh

kis kadar zakhmi kia


tar hui khu se zabaan

le sake na hichkiya

dhundti firti hai....

khu bhara kurta tera


haye woh bhi chin gaya

ab jiyu kiske sahare

paas mere kya raha

zindagi hai ab raah hi raah


mai idhar hu nauhakhwan

dhundti.....

khali jhula dekhkar

ai mere nure nazar


aankh faryaadi hai meri aur rota hai jigar

kho gae ho tum kahan

chain paaye kaise maa

dhundti....


mai musafir shaam ki

had me had aaraam ki

kaid hokar jaa rahi hu

gard hai balaam ki


bandh chuki hai rassiyan

hum kaha ab tum kaha

dhundti firti hai madar


hai mera asgar kaha