Kanz e Aza

Wah hamshakle nabi

A manqabat written by Shadman Raza (2006). Lyrics in Roman Urdu.

Wah hamshakle nabi

Wah hamshakle nabi.....x4


Akbar jamaal kudrat e parwardigar hai

Akbar khudai husn ka aaina daar hai.


Laila ka maan ibne Ali ka waqaar hai.

khaaliq ko jispe naaz ye wo shahkar hai.


Jiska nahi jawab ye wo lajawab hai.

Ye hubahu shabih e risalat ma'aab hai.


Wah hamshakle nabi.....x4

Ho iske rubaru bhala kya daaghdaar chaand


Muh abr me chhupake chale barbar chaand

Waise muhavre me to hote hai chaar chaand


Akbar ne karbala ko lagaye hazaar chaand

Paya hai chehra misle payambar isiliye


Rakha gaya hai naam bhi akbar isiliye

Wah hamshakle nabi.....x4


Naa subho hai naa raat barabar ka waqt hai

Ibne Ali ke mehre munawwar ka waqt hai


Tafseer surah e rukhe anwar ka waqt hai

Ye zikr hazrat e ali akbar ka waqt hai


Tauqeer badrahi hai dar e buturaab ki

Aamad hai phir jahaa'n me risalat ma'aab ki


Wah hamshakle nabi.....x4

Shabbir ko wirasat e khairul wara mili


Abbas ko shuja'at e shere khuda mili

Qasim ko azmate hasan e mujtaba mili


Is ghar me shaan sabko khuda se juda mili

Zainab ne paya rutba e aala batul ka


Akbar ko milgaya hai sarapa rasool ka

Wah hamshakle nabi.....x4


Gesu bhi noor chehra e tahir bhi noor hai

Paikar bhi noor sina e aamir bhi noor hai


Baatin bhi iska noor hai zaahir bhi noor hai

Hadh ye ke is qaseede ka shayar bhi noor hai


Beta mila hai aisa nirala husain ko

Hairat se dekhta hai ujala husain ko


Wah hamshakle nabi.....x4

Ab tazkera hai akbar e khushruh ki jang ka


Khaaro'n se dashte zaar me khushbu ki jang ka

Baazu e kirdigar ke baazu ki jang ka


Sar chad ke bolte hue jaadu ki jang ka

Nazre uthake dekha to har saf ulatgai


Khud maut iske pairo se aake lipatgai

Wah hamshakle nabi.....x4


Akbar ne tegh khaichi udhe beparo ke sar

Ki jab nigaha katgaye deedawaro ke sar


Zadpar ajal ki aaye jo fitnagaro ke sar

Shaano se khud hi girne lage khudsaro ke saro


Tha shor bhaago jang se haatho ko jhaadke

Lo aagaye Ali dar e khaibar ukhaadke


Wah hamshakle nabi.....x4

Manzar ye kaarzaar ka kaise karu bayaa'n


Akbar ki tegh aaj ajal ki hai tarjuma

Talwar ki chamak me tadapti hai bijliya'n


Khaime ke dar pe shah e zamana hai SHADMAA'N

Ulti sipah NOOR Ali uske baar ne


Uth uth ke daad di hai usey zulfiqar ne.

Wah hamshakle nabi.....x4