Kanz e Aza

Zehra ki hai rukhsati

A manqabat written by Shadman Raza (2009). Lyrics in Roman Urdu.

bane hain dulha ali..(2)

zehra ki hai rukhsati..(2)


1. Ghar me aayaate haq ka ujaala huwa

noor arz o samaa ka dobaala huwa


dekho qur'aan khud shaahwaala hua

mil gayi deen ko ek nayi zindagi


2. Jibraeele ameen ki munaadi hai ye

dekho ek shaahzaadi ki shaadi hai ye


aur shaadi magar kitni saadi hai ye

na hai israaf aur na dikhaawa koyi


3. Kaisa saada jahez is dulhan ko mila

ek takya o charkha aur ek aasia


ek khajooro ke patton ka bistar bhi tha

kooza o mashk aur ek suraahi mili


4. Aqde zahra o haidar ki ye sunnatein

momino tumpe bhi farz hai itaa'atein


jaise andaaz zahra ki shaadi ke hain

us taraah byaah do apni beti ko bhi


5. Aqd ke aasmaan par fasaane bhi hain

huro gilmaan ke lab par taraane bhi hain


sher kuch apne hamko sunaane bhi hain

momino tum bhi dohraawo misraa yehi


6. Baithi binte payambar amaari me hain

saath huraane jannat sawaari me hain


phul jannat ke phulon ki kyaari me hai

khushbu hai aaj phayli gali dar gali


Ya ali ya ali..(2)

7. Ilm aur noor ke do samandar mile


qurbatein badh gayi faasle mit gaye

leke binte nabi ko nabi khud chale


Ya ali bol uthe har chaman har kali

8. Ju'n hi bayt e wilaayat me pohnchi dulhan


aayaton se sajaa dekha sehne chaman

sura kausar ka karne laga ye sukhan


mit nahi sakti taa hashr nasle nabi

9. Dekhiye to ay maajid samaa dekhiye


khud payambar bhi hai shadmaan dekhiye

aaj bayt e ali me jinaa dekhiye


jalne waale jalein ham kahenge yehi