MOMINOO KO MUBAREK ALI A.S AAGAYEE
Jab Ali agaye zindagi agai., Zindagi bandagi roshni agai., Roshni agai aagahi agai., 1.Maut inke muhibbo ko
aati nahi., Aa bhi jaaye to phir
Bach ke jaati nahi. ×2
Maut ka kya Qatar
maut se kya hai darrr., Isse bachna bhi kya
agai agai., 2.ghusl e mayyat na khna
mere ghusl ko
Ujle malboos ko mat
kafan naam do ×2
Mai chala hoo ali se
mulaqaat ko
Jiski thi arzoo wo ghadi
aagayi
3.Teri massnad pe
ghairo ko bithladiya., Nayib e mustafa
mazhar e kibriya., Tu Ali o vasi o wali Hi
raha., Mannzilat me teri kya
kami agai., 4.ham ke sarr shaar ishq
aur tawalla me thay., Jaante Hi na thay nafrat
o dushmani., x2
Ye tawalla bhi wallah
kya cheez agai., Humko aghyaar se
dushmani agai., 5.Masslak e ishq me
maangna ayb hai., Main bhi khamosh hu
Vo bhi khamosh hai., x2
Unko sab hai khabar
islye chup hu main., Kya hua aankh me garr
nami agai., 6.jis ka moula tha mai
uss k moula ali.
Jab nabi ne kaha deen
kaamil howa
Marhaba mustafa rab bhi razi howa
Wo jo aana thi aayat
wahi aagayee
7.jibraeel aur khamber pe
kya munhasir
Dar tera chordh kar koi
jaataa nahi
Jo ghulami ka teri maza
paa gayaa
Raaz jis ko teri nokri
aagayee
8.Khums dena mawadat
ki ek shart hai., Aur na dena bhi misl e
fidak hai gunaah., Haq e saadat o Zehra ke maqrooz se., Jab tabarra suna to
hasi agai., 9.Ishq jabb takk na ho
Sher hota nahi., Mujhme kab ahliyat thi
teri madha ki
Mere moula main
qurbaa'n tere ishq ke., Sibt e jafar ko bhi
shayari aagai...