Kanz e Aza

Rashke Maryam naaze Saara Sayyeda

A manqabat written by Ali Safdar (2010). Lyrics in Roman Urdu.

Rashke Maryam naaze Saara Sayyeda

rashke maryam naze sara sayyada


mustafa ke dilka paara sayyada


hum ko yeh maalum hai jannat me bhi

aap hi kaa hai ijaara sayyada


mustafa ke dilka paara sayyada


hauslaa zainab ka allaho ghani

aa gayi jaise dubaara sayyada


mustafa ke dilka paara sayyada


rotiyo par aapki hai aajtak

arsh walo ka guzara sayyada


mustafa ke dilka paara sayyada


aate aate aapke darbaar tak

bhar gaya daaman humaara sayyada


mustafa ke dilka paara sayyada


dono aalam me nahi jiski misaal

aisa qunbaa hai tumhaara sayyada


mustafa ke dilka paara sayyada


ghar mei haider k hua jalwaa figan

teri kismat ka sitaara sayyada


mustafa ke dilka paara sayyada


baadshaho ne teri aulaad se

maanga bakshish ka sahaara sayyada


mustafa ke dilka paara sayyada


zulme duniya khamoshi se ai abad

kar gayi kaise gawaara sayyada


mustafa ke dilka paara sayyada