Kanz e Aza

Zehra s.a ke haath me

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2012). Lyrics in Roman Urdu.

Zehra s.a ke haath me

Sayeda, Tahera..(8)


kul nazm e qaiyanat hai Zehra ke hath me..(2)

sher e khuda ka haath hai Zehra  ke hath me


kul nazm e qaiyanat hai Zehra  ke hath me..(2)

1. Allah ne mangali sare arsh rotiyan..(2)


koi to aaisi baat hai Zehra  ke hath me

kul nazm e qaiyanat hai Zehra  ke hath me..(2)


2. Jis dar se chal raha hai Zamane ka har nizam..(2)

us ki ma'ashiat hai Zehra  ke hath me


kul nazm e qaiyanat hai Zehra  ke hath me..(2)

3. Beti ko sath laae hai is waste rasool..(2)


najraniyon ki maat hai Zehra  ke hath me

kul nazm e qaiyanat hai Zehra  ke hath me..(2)


4. Malik hai jaise chahe yeh tabdiliyan kare..(2)

kul nazm e qaiyanat hai Zehra  ke hath me..(2)


5. Kehne lage hussain yeh rumaal band kar..(2)

jaa hur teri najaat hai Zehra  ke hath me


kul nazm e qaiyanat hai Zehra  ke hath me..(2)

6.Hathon me hath shabbar o shabbir  ke nahi..(2)


islam ki hayaat hai Zehra  ke hath me

kul nazm e qaiyanat hai Zehra  ke hath me..(2)


7. Kaise mitae koi aza ki nishaniyan ..(2)

hifz e tabarrukat hai Zehra  ke hath me


kul nazm e qaiyanat hai Zehra  ke hath me..(2)

8. Tasbihe fatema  ne takallum bata diya


har radd e mushkilat hai Zehra  ke hath me

kul nazm e qaiyanat hai Zehra  ke hath me..(2)


sayeda, tahera ..(2)