Kanz e Aza

Mubarak ho ye shaadi

A manqabat written by Ali Safdar (2014). Lyrics in Roman Urdu.

Mubarak ho ye shaadi


Mubarak mubarak


Mubarak ho yeh shaadi....x4

Mubarak


Jahan shaadi ki mehfil ho kaside ham sunate hain..x3

Jahan shaadi ki mehfil ho.....

Jahan shaadi ki mehfil ho kaside hum sunate hain


Mubarak ho......x2


Ali ke chahnewale khushi aise manate hain

Jahan....x2

Wilawaley yaha par hain,wali ka zikr lazim hain

Khudawaley yah par hain,nabi ka zikr lazim hain


Aliwaley ki shaadi hain,Ali ka zikr lazim hain

Koi milad karte hain

Koi milad karte hain, koi mehfil sajate hain


Mubarak ho...x2

Ali ke....Jahan shaadi....


Jahan ho zikr e Zehra, Aasman aisi zameen hogi

Wahan mahaul me bhi pakeezgi bhi bil yaqeen hogi

Ali ki manqabat hogi toh mausiqi nahi hogi

Gunahon se har ek takreeb

Gunahon se har ek takreeb, daamal bachate hain


Mubarak ho...x2

Ali ke...Jahan shadi...


Koi apni khushi ho panjetan ko shaad rakhte hain

Charage karke hum farshe aza abaad rakhte hain

Woh mehfil ho ke majlis karbala ko yaad rakhte hain

Tabarruk bhi khilate hain

Tabarruk bhi khilate hain toh paani bhi pilate hain


Mubarak ho...x2

Ali ke...Jahan shadi...


Farishton ne kaha mango dua, shaadi mubarak ho

Dulhan hain Binte Ahmed Fatema, shaadi mubarak ho

Khuda ke ghar ka dulha aa gaya, shaadi mubarak ho

Mubarakbaad dene ke

Mubarakbaad dene ke liye Jibreel aate hain


Mubarakx2

Ali ke...Jahan shaadi


Zamana daar par dekhe, zara Meesam ki daar aayi

Banaya daar ko mimbar,mili mae'raj goyaai

Ali ka qaul saccha hogaya hain,yeh khushi paayi

Zabaan jab kaati jati hain

Zaban jab kaati jati hain, toh Meesam muskurate


Mubarak ho...x2


Ali ke...Jahan

Suna Qur'an payi manzile mae'raj shaadi main

Suna Abbas ko dekha wafa ka raj shaadi mein

Hasi kitna hain maulai ke sar par, aaj shaadi mein


Ali.ka zikr sunne agaye hain aaj shaadi mein

Gale milte hain sab momin

Gale milte hain sab momin, hath bhi sabse milate hain


Mubarak ho...x2

Ali ke...Jahan shaadi...


Mubarak ho yeh shaadi, bas dua yeh hain meri maula

Payambar aur Khatija ki tarah rishta rahe saccha

Ali ke ishq main sanshaad woh har dam hasi dulha

Ata ho teri rehmat se dulhan ko seerate Zehra


Yaha duniya aur jannat me kayam rahe rishta

Mohabbat inme ho bas misle hubb e Aadam o Hawwa

Hain ek naemat to ek rehmat ,kamar beti ho ya beta

Bane aulaad inki naasirane lashkare maula


Utha kar haath Safdar, duaen dete jate hain


Mubarak ho....x2


Ali ke ....Jahan


Mubarak ho yeh shaadi