Kanz e Aza

Rokega rab zarur

A manqabat for Imam Hussain (a.s), written by Muqtar Hussain (2014). Lyrics in Roman Urdu.

Rokega rab zarur

Dekh kar  6

rokega rab zarur gunahgar dekh kar    4

par jaane dega sheh ka azaadar dekh kar


rokega.................2


ishqe ali me logo nuseri bhi mat bano         2

nafrat ali ko hoti hai ye pyar dekh kar


rokega.................2


hum kalmago se achhe hai har kaum kehti hai    2

binte nabi ki kabr ko mismaar dekh kar


rokega.................2


kehti hai maa khuda kare bandh  jaye aur maraz    2

mujhko ghame hussain me bimaar dekh kar


rokega..................2


humto khuda ki yad me jaate hai uske ghar     2

par yaad ali ki aati hai deewar dekh kar


rokega..................2


keemat bataoo kyu tujhe rizwan ashq ki      2

boli lagaunga me kharidar dekh kar


rokega..................2


jannat me apne saath rakhenge kise ali     2

ye faisla to hona hai kirdar dekh kar


rokega..................2


matam b kar liya karo waayiz inn haatho se    2

afsos hota hai inhe bekar dekh kar


rokega...................2


haa thik hai likha karo sajjad marhaba      2

bas itna kehde maula ye ashaaar dekh kar


rokega...................2