utho utho ali asghar jaga rahi hai rabab
jo bha gayi hai laal tumhe karbala ki zameen
har ek simt andhera hai darr na jao kahin
chiragh e ashk lehad par jala rahi hai rabab
utho utho ali asghar...
tumhe sakina ka deti hoon waasta utho
koi khata bhi hui ho to dar guzar kar do
ke ab to maan bhi jao mana rahi hai rabab
utho utho ali asghar...
galay pe zakhm hai gehra dikha nahi sakta
kuch is khadar hai tu kamsin ke aa nahi sakta
tujhe bulaane ko maqtal mein aa rahi hai rabab
utho utho ali asghar...
kahan ho bad ke sahara do sayyed e sajjad
ke rooh hone ko hai qaid e jism se aazad
khareeb e turbat e baysheer aa rahi hai rabab
utho utho ali asghar...
ye dasht aur ye jalti hui zameen beta
jo so gaye ho to ab chaunkna nahi beta
dobara kaun sulayega jaa rahi hai rabab
utho utho ali asghar...
udaas udaas hai godhi luta luta manzar
sakina qaid e sitam mein hai dasht mein asghar
na jaane kis ko ye lori suna rahi hai rabab
utho utho ali asghar...
zameen e garm pe sota hai jhoolne waala
tamam jal gaye qaime bacha na gehwara
ab apne haath hawa mein hila rahi hai rabab
utho utho ali asghar...
tere firaaq mein soti hai maa jo ro ro kar
pisar ki aas mein rakhti hai haath pehlu par
ke jaise laal ko apne sula rahi hai rabab
utho utho ali asghar...
tamam dil ka lahoo aansuon mein dhal jaaye
jo kar lein maayein tasavvur to dam nikal jaaye
jo daagh leke kaleje pe jaa rahi hai rabab
utho utho ali asghar...
bilal rok qalam to haram mein hai riqqat
nahi hai phool mayassar yahan dam e ruqsat
lehad pe ashkon ki chadar chada rahi hai rabab
utho utho ali asghar...